Pages

Tuesday, 12 November 2013

An All Timer!!!

shehar ki raat aur main nashad-o-nakaara phiroonN
jagmagati jaagati sarkooN peh aawara phriooN
ghair ki basti hai kab tak dar badar maraa phirooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN 

jhilmilate qumqumon ki raah mein zanjeer si
raat ke hathon mein din ki mohani tasveer si
mere seene par magar chalti hui shamsheer si
ay gham-e-dil kya karooN ay wahshat-e-dil kya karooN 

yeh roopehli chhaon yeh aakash par taaroN ka jaal
jaise sufi ka tasavvur jaise aashiq ka khayaal
aah lekin kon jaane kon samjhe jee ka haal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN 

phir woh toota ik sitara phir woh chhooThi puljhaRi 
jane kis ki gaud meiN aai yeh moti ki laRi
hook si seenay meiN uThi chaut si dil per paRi
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN 

raat hans hans kar yeh kehti hei ke maikhane meiN chal
phir kisi shahnaz-e-lalarukh ke kaashane meiN chal
yeh nahiN mumkin to phir ay dost veerane meiN chal
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN 

har taraf bikhri hui, rangeeniyaaN, r'aanaiyaaN 
har qadam par ishrateiN leti hui angRaiyaaN
baRh rahi hei gaud phailai hoi ruswaaiyaaN 
ay gham-e-dil kya karooN, ai wahshat-e-dil kya karooN 

raaste mein ruk ke dam le loon meri aadat nahiN
laut kar vaapas chala jaaooN, meri fitrat nahiN
aur koi hamnawa mil jaaye yeh qismat nahiN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN 

muntazir hei eik tofaan-e-bala mere liay
ab bi jane kitne dervazay heiN waa mere liay
per museebat hei mera ahd-e-wafa mere liay
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN 

jee meiN aata hei ke ab ahd-e-wafa bhi toR dooN
un ko paa sakta hooN main yeh aasra bhi chhoR dooN
haaN munasib hei yeh zanjeer-e-hava bhi toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN 

ik mahal ki aarh se nikala woh peela mahtaab
jaise mulla ka amama jaise baniye ki kitab
jaise muflis ki jawani jaise beva ka shabaab 
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN 

dil meiN ik shola bhaRak uTha hei aakhir kiya karooN
mera paemaana chhalak uTha hei aakhir kiya karooN
zakham seenay ka mehak uTha hei aakhir kiya karooN 
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN 

jee meiN aata hei ke murda chaand taray nauch looN
iss kinare nauch looN aur us kinare nauch looN
eik du ka zikar kiya saaray ke saaray nauch looN 
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN 

muflisi aur yeh mazahir haiN nazar ke samane
saikaRoN changez-o-naadir haiN nazar ke samane
Saikaron sultan-o-Jabir hain nazar ke samne
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN 

le ke eik changez ke hathooN se khanjar toR dooN
taj per us ke damakta hei jo pathar toR dooN
koi toRe ya na toRe meiN hi baRh ke toR dooN
ay gham-e-dil kya karooN, ay wahshat-e-dil kya karooN 

baRh ke is indar'sabha ka saz-o-samaan phoonk dooN
iss ka gulshan phoonk dooN us ka shabistan phoonk dooN
takhat-e-sultan kya main sara qasr-e-sultan phoonk dooN
ay gham-e-dil kya kaooN, ay wahshat-e-dil kya karooN

No comments:

Post a Comment