Pages

Wednesday, 6 November 2019

Zindagi kay naam..

Us zakhm-e-jaan k naam, jo ab tak nahi bhara
Us zinda dil k naam, jo ab tak nahi mara

Un ehl-e-dil k naam, jo raahon ki dhool hain
Un hoslon k naam, jinhe dukh qabool hain

Us zindagi k naam, guzaara nahi jise
Us qarz-e-fann k naam, utara nahi jise

Un doston k naam, jo gosha nasheen hain
Un be-hisson k naam, jo baar-e-zameen hain

Un be dilon k naam, jo har dam malool hain
Un be bason k naam, jo gamlon k phool hain

Us shola rukh k naam, k roshan hai jis se raat
Hai zoofishaan andhere main, har nuqta-e-kitaab

Aur husn-e-bakamaal ki, ra’naiyon k naam
Aur apne zehen-o-qalb ki, tanhaiyon k naam
~ Aitbar Sajid ~

No comments:

Post a Comment